
Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun Lyrics in English
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain
Mera Nana Nabi Meri Maan Sayeda Mera Baba Ali Mera Bhai Hasan Hum Hi Hain Panjatan
Meri Kya Hai Khata
Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Kiya Main Zehra Ka Jaya Nahi Hun Kiya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Mery Nana Ny Kalma Sikhaya Aur Quran Tum Ko Sunaya Kya Main Nana Ka Saya Nahi Hun Kiya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Woh Madina Jahan Mera Ghar Hai Aur Masjid Mein Us Ghar Ka Dar Hai Kya Main Us Ghar Mein Khaila Nahi Hun Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Chakian Pees Kar Maan Ny Pala Mujh Ko Nana Ny Jhoola Jhulaya Apna Bachpan Main Bhoola Nahi Hun Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Kamli Waly Ky Lab Choomta Tha Kitna Pyara Mera Bachpana Tha Kya Main Un Ka Dulaara Nahi Hun Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Main Jo Pani Kabhi Mangta Tha Kiun Tarhapti Thi Maan Ab Main Samjha Paas Asghar Ky Jata Nahi Hun Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Main Jo Chahun Baras Jayen Baadal Khoon Mein Dooba Nazar Aaye Maqtal Jang Karny Main Aaya Nahi Hun Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Ik Sada Thi Yeh Rehan O Sarwar Keh Rahy Thy Hussain Ibne Haider Kya Main Mehmaan Aya Nahi Hun Kya Nabi Ka Nawasa Nahi Hun
Mujh Py Kiun Band Karty Ho Pani Kya Muhammad Ka Pyara Nahi Hun
Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain