Maine Pucha Hussan Se | Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
Singer :- Ustad Nusrat Fateh Ali Khan & Party
Artist :- Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
zubaan par jab muhammad mustafa ka naam aata hai badi taskeen hoti hai bada aaraam aata hai muhammad mustafa ka naam bhi kya isme
bemisl hai kya shauk tera naayi hai khaalik bhi fida khalq bhi shaidaayi hai khaalik ne muhabbat mein niraale rukh se sarkaar ke chehre ki kasam khaayi hai
maine poochha husn se ke dekha hai kahin sarkaar sa haseen
husn ne kaha dilbari ki kasam nahin nahin nahin
waliyon se jawaab unka poochha nabiyon ne misaal unki poochhi kudsiyon ki
anjuman mein maine azmat e jamaal unki dhoondhi
poochha jibraaeel se ke dekha hai kahin aisa shah e naazneen
bola jibraeel zaat e haq ki kasam nahin nahin nahin
yun hai qayanaat mein madina jaise ho angoothhi mein nagina
us gali ke zarre woh hain jinse zaufsa hai mer o maa ka seena
maine poochha arsh se ke dekhi hai kaheen madine se zameen
arsh ne kaha bartari ki kasam nahin nahin nahin
aadmi ko aadmi banaaya falsafa hayaat ka bataaya
doobte safeena e jahan ko sahil e muraad par laagaaya
maine poochha khizr se falak ho ya zameen aisa hadi hai kahin
khizr ne kaha rehbari ko kadam nahin nahin nahin
lab mere hazoor ke hain aise bheekh jinki laal ho yaman se
narmi aur naazuki na poochha paani paani phool hain chaman ke
maine poochha phool se aye bagh ke makeen dekhe aise lab kaheen
phool ne kaha pankhuri ki kasam nahin nahin nahin
do jahaan ke taajdaar ho par phir bhi farsh e khaak par dai dauraan
poochha fakhr se ke dekha aisa shah e deen jo ho boriya nasheen
poochha fakhr se ke dekha aisa shah e deen jo ho boriya nasheen
fakhr ne kaha saadgi ki kasam nahin nahin nahin
zulf hai mere huzoor ki ya rehmaton ki surmayin ghataayein
gesuon ke pech keh rahe hain ham hi mujrimon ki hain panahein
maine poochha raat se ke dekhi hai kahin aisi zulf e ambarin
raat ne raab hi ki kasam nahin nahin nahin
ke khusa kamaal e mustafayi jalwagar hai zaat e qibriyaayi
woh dar e huzoor hai ke ‘Sajid’ sajda rez hai jahan khudaayi
poochha maine jab ke tune dekhi hai jabeen aisa aastaan kahin
boli yun jabeen bandagi ki kasam nahin nahin nahin